the ḳhvab ek hamare bhi aur tumhare bhi
par apna khel dikhate rahe sitare bhi
ye zindagi hai yahan is tarah hi hota hai
sabhi ne bojh se laade hain kuchh utare bhi
saval ye hai ki aapas men ham milen kaise
hamesha saath to chalte hain do kinare bhi
kisi ka apna mohabbat men kuchh nahin hota
ki mushtarak hain yahan suud bhi ḳhasare bhi
bigaḌ par hai jo tanqid sab baja lekin
tumhare hisse ke jo kaam the sanvare bhi
baḌe sukun se Duube the Dubne vaale
jo sahilon pe khaḌe the bahut pukare bhi
pa jaise rail men do ajnabi musafir hon
safar men saath rahe yuun to ham tumhare bhi
yahi sahi tiri marzi samajh na paa.e ham
ḳhuda gavah ki mub.ham the kuchh ishare bhi
yahi to ek havala hai mere hone ka
yahi girati hai mujh ko yahi utare bhi
isi zamin men ik din mujhe bhi sona hai
isi zamin ki amanat hain mere pyare bhi
vo ab jo dekh ke pahchante nahin ‘amjad’
hai kal ki baat ye lagte the kuchh hamare bhi
Leave a Reply