fikr merī ḳhayāl merā hai
naam un kā kamāl merā hai
chaḌhtā sūraj uruuj hai un kā
Dhaltā saaya zavāl merā hai
farq itnā hai un ke mere biich
phuul un ke nihāl merā hai
aa chalā hai yaqīn barsoñ ba.ad
ye mahīne ye saal merā hai
is meñ hālāt kā qusūr nahīñ
dosh pe sar-o-bāl merā hai
kyoñ zamīñ tañg hai ġharīboñ par
āsmāñ se savāl merā hai
rah ke apnoñ ke darmiyāñ ‘ḳhusrav’
kyā batā.ūñ jo haal merā hai