agar nahin qasd ai zalim mire dil ke satane ka
sabab kya hai tujhe mujh se namane se bahane ka
hui muddat nahin taqat mire dil kuun judai ki
karam kar aa sajan ya fikr kar mere bulane ka
shah-e-khuban mire ghar raat ko aaya hai ai mutrib
mira dil shaad hai ga raag ai mutrib shahane ka
na hove kyuun ke gardun pe sada dil ki buland eti
hamari aah hai danka damame ke bajane ka
jabhi ho vasl hansi siin hisar-e-pairahan tab
tira ‘yakru’ tsunami hai nahin hargiz samane ka
Leave a Reply