ishq men koi hamsari karta
ham ko ilzam se bari karta
ek botal men vo sama jaati
us ko jaadu se main pari karta
chheḌ ma.asum si chala karti
vo bhi hans hans ke dilbari karta
us ne jangal jala diye lekin
shaḳh ik peḌ ki hari karta
chand aata jo roz angan men
saath mere suḳhan vari karta
sha.iri ham pe chhoḌ deni thi
mirza ‘ghalib’ sipah-gari karta
ek din tujh ko Duub jaana tha
jo bhi karta tu sarsari karta
ḳhaak hota vo sar-bulandi men
pa.emali men sarvari karta
sher kahta nahin agar main bhi
ḳhirqa pahne qalandari karta
vo javani ‘ayaz’ aisi thi
baat main bhi khari khari karta
Leave a Reply