fareb-e-yar ne chaunka diya tha
hamen to pyaar ne chaunka diya tha
hazaron saal thi us ki riyazat
bas ik inkar ne chaunka diya tha
fasilen ban ga.i thiin chaar janib
ajab asrar ne chaunka diya tha
mohabbat ki hamen fursat nahin thi
jamal-e-yar ne chaunka diya tha
ham apne-ap men gum ja rahe the
kisi guftar ne chaunka diya tha
jo ik aansu baha tha vaqt-e-ruḳhsat
usi iz.har ne chaunka diya tha
bichhaḌte vaqt us ne jo kaha tha
usi iqrar ne chaunka diya tha
vo dast-e-ghaib ban kar aa ga.e the
hamen aghyar ne chaunka diya tha
Leave a Reply