qaza ka tiir tha koi kaman se nikal gaya
vo ek harf jo miri zaban se nikal gaya
bahut ziyada jhukna paḌ raha tha us ke saa.e men
so ek din main us ke sa.eban se nikal gaya
abhi to tere aur tire adu ke darmiyan huun
agar kabhi main thak ke darmiyan se nikal gaya
mire adu ke ḳhvab chakna-chur ho ke rah ga.e
main jast bhar ke dasht-e-imtihan se nikal gaya
tire kalam-e-fan ka sirf main hi qadr-dan huun
agar main teri is bhari dukan se nikal gaya
Leave a Reply