
Qadir Siddiqi
miTne ka junun luTne ka arman nazar aaya
aap aa.e to kuchh jiine ka saman nazar aaya
socha tha mire haath men daman hai tumhara
dekha to ḳhud apna hi gareban nazar aaya
dekha jo kabhi ghaur se us jan-e-vafa ko
ma.asum nigahon men bhi tufan nazar aaya
is daur men jiine ka kiya jab bhi irada
us vaqt mujhe marna hi asan nazar aaya
is vaqt ki jab bhuuk se marne lagi duniya
hindu nazar aaya na musalman nazar aaya

Leave a Reply