• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chalti Rahi Us Kuche Mein Talwar Hamesha

Chalti Rahi Us Kuche Mein Talwar Hamesha

poet

chalti rahi us kuche men talvar hamesha

lashe hi nikalte rahe do-char hamesha

gil khulte rahen chahchahe karta rahe bulbul

ya-rab rahe abad ye gulzar hamesha

ham rind hue shahid-e-maqsud se vasil

jhagḌe men rahe kafir o din-dar hamesha

yaan tuḳhm-e-tamanna se uga karta hai laala

gul khate hain har fasl men do-char hamesha

taḌpa karen kuche men tire saikḌon kushte

rangin rahe ḳhuun se tiri talvar hamesha

divane hain maa.il hon agar hur-o-pari ke

jo dekh rahe huun tira didar hamesha

mujh tishna-e-didar ko kis roz chhakaya

pyasa hi raha ḳhuun ka vo ḳhunḳhar hamesha

mushtaqon ne tere na liya kauḌiyon ke mol

bikta raha yusuf sar-e-bazar hamesha

hai zulf-e-musalsal tiri ya dam-e-bala hai

ho rahte hain do-char giraftar hamesha

kyun-kar tu masiha hua mash.hur jahan men

marte hain tire haath se bimar hamesha

hangame na.e roz hua karte hain barpa

fitne hi uThati hai vo raftar hamesha

ai ‘rind’ junun men bhi na sahra ko ga.e ham

khaya kiye patthar sar-e-bazar hamesha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dil Ka Har Ek Dagh Charaghan Se Kam Nahin

Jo Samajhna Chahiye Tha Wo Kahan Samjha Tha Main

Jab Ashk Teri Yaad Mein Aankhon Se Dhale Hain

naz-butt

Gulabi Barish

munawwar-rana

Sahra Pe Bura Waqt Mere Yar Pada Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet