aap apna ghubar the ham to
yaad the yadgar the ham to
pardagi ham se kyuun rakha parda
tere hi parda-dar the ham to
vaqt ki dhuup men tumhare liye
shajar-e-saya-dar the ham to
ude jaate hain dhuul ke manind
andhiyon par savar the ham to
ham ne kyuun khud pe eatibar kiya
sakht be-e’tibar the ham to
sharm hai apni baar baari ki
be-sabab baar baar the ham to
kyuun hamen kar diya gaya majbur
khud hi be-ikhtiyar the ham to
tum ne kaise bhula diya ham ko
tum se hi mustaar the ham to
khush na aaya hamen jiye jaana
lamhe lamhe pe baar the ham to
sah bhi lete hamare taanon ko
jan-e-man jan-nisar the ham to
khud ko dauran-e-hal men apne
be-tarah nagavar the ham to
tum ne ham ko bhi kar diya barbad
nadir-e-rozgar the ham to
ham ko yaron ne yaad bhi na rakha
‘jaun’ yaron ke yaar the ham to
Leave a Reply