Dard Shayan-E-Shan-E-Dil Bhi Nahin

dard shāyān-e-shān-e-dil bhī nahīñ

aur shab-e-hijr mustaqil bhī nahīñ

yuuñ gale mil ke fā.eda kyā hai

zaḳhm andar se mundamil bhī nahīñ

vasl bhī hai firāq bhī is meñ

mausam-e-ishq mo.atadil bhī nahīñ

har kisī se ye mel kyuuñ khaa.e

dil to phir dil hai āb-o-gil bhī nahīñ

soch hai kuchh haqīqateñ kuchh haiñ

ḳhvāb-e-ta.abīr muttasil bhī nahīñ

ab bhī jaarī hai raqs miTTī kā

saañs ke taar muzmahil bhī nahīñ

ham jo rūThe haiñ jaan se ‘zākir’

rabt TuuTā hai munfasil bhī nahīñ

Leave a Comment