tumhari mohabbat
ab pahle se zyada insaf chahti hai
sub.h barish ho rahi thi
jo tumhen udaas kar deti hai
is manzar ko la-zaval banne ka haq tha
is khidki ko sabze ki taraf kholte hue
tumhen ek mu.hasare men aae dil ki yaad nahin aai
ek gum-nam pul par
tum ne apne aap se mazbut lahje men kaha
mujhe akele rahna hai
mohabbat ko tum ne
hairat-zada kar dene vaali khush-qismati nahin samjha
meri qismat jahaz-rani ke kar-khane men nahin bani
phir bhi main ne samundar ke fasle tai kiye
pur-asrar taur par khud ko zinda rakkha
aur be-rahmi se shairi ki
mere paas ek mohabbat karne vaale ki
tamam khamiyan
aur akhiri dalil hai