tumhen is dil se kya aadi hua hai
ki jalne ka diya aadi hua hai
use niind aa.e bhi to kaise aa.e
vo mere ḳhvab ka aadi hua hai
vo aa.e to faza.en jhumti hain
kisi ka rasta aadi hua hai
kaha rota hai kyuun dil ko sambhalo
to hans kar ye kaha aadi hua hai
zamane ko na jaane ye hua kya
zamana aap ka aadi hua hai
Leave a Reply