soz-e-dil hai ḳhamushi se jal ke bujh jaane ka naam
zindagi hai sham-e-gul ke ashk barsane ka naam
meri nazren aap ki janib hain duniya par nahin
aap kya kahte hain dekhun apne divane ka naam
hai farogh-e-sham.a tak hangama-e-bazm-e-hayat
sub.h-dam leta nahin hai koi parvane ka naam
husn hai ik be-niyazana charagh-e-dil-fareb
ishq hai anjam se be-ḳhauf jal jaane ka naam
ahl-e-danish ko na jaane kya zarurat aa paḌi
le rahe hain aj-kal farzane divane ka naam
Leave a Reply