mumkin hi nahin ki kinara bhi karega
ashiq hai to phir ishq dobara bhi karega
pardes men aaya huun to kuchh main bhi karunga
kuchh kaam mire taḳht ka taara bhi karega
andaz yahi hai yahi atvar hain us ke
baiThega bahut duur ishara bhi karega
ro.ega kabhi ḳhuub kabhi hansega
kya aur tire tiir ka maara bhi karega
jab vaqt paḌa tha to jo kuchh ham ne kiya tha
samjhe the vahi yaar hamara bhi karega
sheron men ‘hilal’ aap ko kahna hai faqat sach
sach baat magar koi gavara bhi karega
Leave a Reply