ai sitamgar nahin dekha jaata
zakhm dil par nahin dekha jaata
ham se zahid ko barabar apne
lab-e-kausar nahin dekha jaata
dasht ki jis men koi baat na ho
ham se vo ghar nahin dekha jaata
ham ne dekha hi nahin jalva-e-yar
kahen kyun-kar nahin dekha jaata
dekhna shauq-e-shahadat mera
mujh se khanjar nahin dekha jaata
tuur par dekhne jaate hain ‘kalim’
dil ke andar nahin dekha jaata
Leave a Reply