main dasht men gar ḳhud ko muhayya nahin karta
gardish se riha mujh ko bagula nahin karta
pahchan ko ik dil hi madad-gar bahut hai
so pesh koi aur havala nahin karta
dekha hi nahin aankh ne jis shahr ko pahle
vo bhi miri hairat men izafa nahin karta
har zaḳhm ki lazzat ka parastar huun lekin
sairab mujhe ye bhi nivala nahin karta
manzil se hai ye kaisi aqidat ki safar men
raahi koi raste pe bharosa nahin karta
ab dahr men aghyar ki rasmon ka chalan hai
ab kaam azizon ka tariqa nahin karta
kaisa hai miri zaat ka bikhrao ki ‘rahat’
sahra miri vus.at ka ahata nahin karta
Leave a Reply