faza.en kaif-e-baharan se jab mahakti hain
to dil men choTen tiri yaad ki kasakti hain
shafaq ke rang bhi un ka javab la na sake
kisi ke chehre pe jo surḳhiyan damakti hain
jinhen tumhara tabassum mila hai vo nazren
faza men nuur ke naghme bikher sakti hain
kabhi kabhi to sitaron ke narm saa.e men
kisi ke jism ki parchha.iyan chamakti hain
qadam qadam pe bichhati hai jaal tira-shabi
nafas nafas pe na.i bijliyan chamakti hain
jahan vo ankhen mira intizar karti thiin
ab un darichon se mayusiyan Tapakti hain
sukut-e-shab men tire intizar ka aalam
ki jaise duur kahin pa.elen khanakti hain
unhin ka naam kahin masti-e-bahar na ho
kali ke siine men jo nik.haten dhaḌakti hain
ho intizar kisi ka magar miri nazren
na jaane kyuun tiri aamad ki raah takti hain
jab un ke aane ki ummid hi nahin ‘arshad’
to phir nigahen ḳhalaon men kyuun bhaTakti hain
Leave a Reply