bahut hai ab miri ankhon ka asman us ko
gaya vo daur ki thi fikr-e-ashiyan us ko
kiya hai saltanat-e-dil pe hukmaran us ko
navazishon ka saliqa magar kahan us ko
shigaf-e-zaḳhm jo mera na khul gaya hota
to kaise milti ye shamshir-e-kahkashan us ko
jidhar bhi jaata hai vo shola-e-bahar-sarisht
dua.en deta hai amboh-e-kushtgan us ko
ḳhud us ki apni chamak ne suragh us ka diya
chhupaya main ne bahut zer-e-ab-e-jan us ko
samundar apna sa munh le ke rah ga.e ‘ishrat’
kiya taravash-e-shabnam ne be-karan us ko
Leave a Reply