• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kyon Kahun Ki Unhen Haal-E-Dil Suna Na Saka

Ye Kyon Kahun Ki Unhen Haal-E-Dil Suna Na Saka

poet

ye kyon kahun ki unhen hal-e-dil suna na saka

nazar men tha vo fasana jo lab tak aa na saka

mujhe kabhi ḳhalish-e-dil ka lutf aa na saka

nazar uThi bhi to un se nazar mila na saka

gunahgar-e-mohabbat ko sab ne baḳhsh diya

ki ye gunah kisi ki samajh men aa na saka

mire ḳhayal men taḳhliq-e-dil ka raaz ye hai

ki ishq vus.at-e-kaunain men sama na saka

tiri talash men nikla hai dekhte kya ho

vo bad-nasib jo apna suragh pa na saka

vahi nazar hai vahi dil vahi tamanna.en

jahan-e-ishq ko ḳhud ishq bhi miTa na saka

vahi fasana-e-dil hai vahi hikayat-e-shauq

jise vo sun na sake aur main suna na saka

baḌi kashish hai tire sang-e-dar men mere liye

sar-e-niyaz uThaya to dil uTha na saka

ye dil hai aur ye jan-e-hazin qusur muaaf

tiri nazar ka taqaza samajh men aa na saka

mujhe to hashr tak us ki najat men shak hai

gunah-e-ishq jise aadmi bana na saka

ye ishq hai ki junun iztirab hai ki sukun

main dil ko bhuul gaya dil tujhe bhula na saka

yaqin tha shab-e-va.ada zarur aaoge tum

sahar tak ek sitara bhi jhilmila na saka

tira karam ki mujhe soz-e-zindagi baḳhsha

miri ḳhata ki use zindagi bana na saka

fareb-e-ishq ne ankhen si khol diin ‘shahid’

main us ke ba.ad kisi ka fareb kha na saka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apnon Ne ujaDa Hai Chaman Jaan Gae Hain

aaKHir Charagh-E-Dard-E-Mohabbat Bujha Diya

poet

Barahnagi Ka Mudawa Koi Libas Na Tha

Subh-E-Safar Ka Raaz Kisi Par Yahan Na Khol

Zarurat Be-Zarurat Bolti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet