• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Guzar Gaya Wo Zamana Wo Zakhm Bhar Bhi Gae

Guzar Gaya Wo Zamana Wo Zakhm Bhar Bhi Gae

abbas-rizvi

guzar gaya vo zamana vo zakhm bhar bhi gae

safar tamam hua aur ham-safar bhi gae

usi nazar ke liye be-qarar rahte the

usi nigah ki be-tabiyon se dar bhi gae

hamari raah men saaya kahin nahin tha magar

kisi shajar ne pukara to ham thahar bhi gae

ye sail-e-ashk hai barbad kar ke chhodega

ye ghar na paoge dariya agar utar bhi gae

sahar hui to ye uqda bhi taeron pe khula

ki ashiyan hi nahin ab ke bal-o-par bhi gae

bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log

kabhi kabhi to kisi aarzu men mar bhi gae

shajar ke saath koi barg-e-zard bhi na raha

hava chali to baharon ke nauhagar bhi gae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

palaT Kar Na Dekhenge Tumko Dobara

ishrat-afreen

Main Phul Phul Safar Kar Rahi Thi Khwabon Ka

Zamin Ne Lafz Ugaya Nahin Bahut Din Se

Mail-Zabt Bhi Aamada-E-Fariyaad Bhi Hai

ahmad-nadeem-qasmi

Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet