• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nazuk Aisa Nahin Kisi Ka Pet

Nazuk Aisa Nahin Kisi Ka Pet

poet

nazuk aisa nahin kisi ka pet

makhmal-e-rang-e-gul hai goya pet

nazar aata hai aks kurti ka

aaine se bhi hai musaffa pet

dard-e-sar kho diya sabihon ka

sandal-e-subh ka hai takhta pet

ye sabahat ye husn ye jalva

varaq-e-sim-mah hai saara pet

naaf hai saghar-e-murad ai gul

bada-e-husn ka hai miina pet

dar yahi hai na chhalke saghar-e-umr

hai mai-e-nab ka qaraba pet

jaam khali nahin hai chehre se kam

aaj saaqi ne muft kaata pet

tum ne dam de ke jab milaya phuul

khuub misl-e-habab phula pet

saikdon nigle aadmi us ne

na bhara azhdar-e-zamin ka pet

surkh kurti se ho gaya maalum

aftab-e-sahar hai un ka pet

dam nahin siine men samata hai

yaad aata hai un ka gora pet

dekhne vaale kyuun na hon majnun

rang men hai ezar-e-laila pet

chhatiyan hain turanj-e-zar goya

lauh-e-simin hai us pari ka pet

laal niifa dikha ke gardun ko

hala-e-mah ka rang laaya pet

shaad hote hain dekh kar ashiq

sahar-e-id ka hai naqsha pet

mu-e-mizhgan hain baal saili ke

aankhon ke samne hai tera pet

baat masti ki hazm ho na saki

shisha-e-bada ka hai halka pet

jan-o-dil se ‘munir’ sadqa hai

nahin dekha hai ab tak aisa pet

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mat Puchh Ki Is Paikar-E-KHush-Rang Mein Kya Hai

poet

Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-E-Zat Ka

Pachhtane Se Kya Hasil Pachhtane Se Kya Hoga

Karte Hue Tawaf-E-KHayalat-E-Yar Main

majrooh-sultanpuri

dushman Ki dosti Hai Ab Ahl-E-Watan Ke Sath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet