raste sikhate hain kis se kya alag rakhna
manzilen alag rakhna qafila alag rakhna
baad ek muddat ke laut kar vo aaya hai
aaj to kahani se hadisa alag rakhna
jis se ham ne sikha tha saath saath chalna hai
ab vahi batata hai naqsh-e-pa alag rakhna
kuza-gar ne jaane kyuun aadmi banaya hai
us ko sab khilaunon se tum zara alag rakhna
laut kar to aae ho tajrabon ki surat hai
par miri kahani se falsafa alag rakhna
tum to khuub vaqif ho ab tumhi batao na
kis men kya milana hai kis se kya alag rakhna
khvahishon ka khamyaza khvab kyuun bharen ‘adil’
aaj meri ankhon se rat-jaga alag rakhna
Leave a Reply