darkhto? muntazir ho!
paniyon men jhankte kya ho?
khade ho sakit-o-jamid
khud apne aks ki hairaniyon men gum
tako ik dusre ka munh
raho yuun istada
paniyon ko kya
yunhin bahte rahenge
aks jo jhalkega
sath-e-ab bas aina ban kar jagmagaegi
hava jo mauj men aai
to bas lahron se khelegi
tumhare dagmagate aks ko
koi sambhala tak nahin dega!
tumhare apne patte taliyan pitenge
san-san sansanahat se hava ki
kanpti shakhen
karengi kya
kanar-e-abju mah-ru
taka karta tha ghanton mahviyat se
ishtiyaq-e-did ka aalam
har ik patte ki ankhon men
tumhara dilruba mah-ru
vo ab laute bhala kaise
darkhto bhuul sakti hai kahan
vo shakl
jis ko dekh kar paani ki ankhen
is tarah se jagmagati thiin
ki us ko dekhne
qaus-e-quzah ke rang
hanste khilkhilate
aa gale lagte the lahron se!
kai ik baar tum ne bhi
usi ki chaah men
jhuk kar
hava-e-tez men bhi
be-khatar
chumi thi peshani isi paani ki
jo mil kar havaon se
jadon men bhar raha hai nam!
use kis baat ka hai gham
giroge munh ke bal to
qahqaha paani ka sun lena!
tumhen apni tahon men yuun chhupaega
khabar tak bhi nahin hogi kisi ko
tum yahan par the
baha le jaega
anjan se un sahilon tak
aur
vahan un sahilon par
khas-o-khashak men dhal kar
tumhari muntazir ankhen salamat rah gaiin to
dekh loge khud
vahi mah-ru
palat kar jo kabhi aaya nahin thaa!