na.i zamin na.e asman sanvarte rahen
yahi hai shart to phir harf harf marte rahen
yahi saza hai ki lamhon ki baz-gasht ke baad
sadi sadi tire kuche men bain karte rahen
vo inqilab lakiron se jo ubhar na saka
kahan talak usi ḳhake men rang bharte rahen
kuchh aur chahiye divangi ko hadd-e-junun
kuchh aur arsa-e-mahshar ki ham guzarte rahen
koi sada koi avaza-e-jaras hi sahi
koi bahana ki ham jaan nisar karte rahen
Leave a Reply