• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahiye Gar Rabt Muddai Se Hai

Kahiye Gar Rabt Muddai Se Hai

poet

kahiye gar rabt muddai se hai

kahte hain dosti tujhi se hai

dekhiye aage aage kya kuchh ho

dil ki harkat ye kuchh abhi se hai

us ki ulfat men jite-ji marna

faeda ye bhi zindagi se hai

zid hai gar hai to ho sabhi ke saath

ya na milne ki zid mujhi se hai

khauf se tum se kah nahin sakte

dil men ik aarzu kabhi se hai

mujh se puchho ho kis se ulfat hai

tum samajhte nahin kisi se hai

ranjish-e-ghair se nahin matlab

kaam ham ko tiri khushi se hai

is qadar aap ham pe zulm karen

is ka insaf aap hi se hai

rashk dushman na sah sakega ‘nizam’

ye bhi na-char apne ji se hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bhulata Hun Magar Gham Ki daraKHshani Nahin Jati

Guman paDta Yahi Hai Ki Rahbari Hui Hai

faiz-ahmad-faiz

Go Sab Ko Baham Saghar O Baada To Nahin Tha

Aam Raste Se haT Ke Aaya Hun

Gum Unhin Main Hun Un Ka Dhyan Kab Nahin Aata

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet