sar uThaya maz.habi divar par paTka hua
raah par aane laga dil raah se bhaTka hua
ras-kashi ki davaten dete rahe taaza gulab
jhaḌiyon men tha magar titli ka par aTka hua
tazkira hone laga jab astin ke saanp ka
paas hi ehsas mujh ko sarsarahaT ka hua
tishna-e-didar men hi to nahin huun in dinon
us ke ghar ke aa.ine ka bhi hai munh laTka hua
ajnabi mahaul men kho jaane ka Dar hai to kya
thaam luun daman tira men barha jhaTka hua
Leave a Reply