muḳhalif hai mere hava in dinon
karegi vafa kya bhala in dinon
kare kaun zahmat uThe baar baar
pukaro na ham ko zara in dinon
maraz ishq ka lag gaya hai mujhe
asar kya karegi dava in dinon
raqam bevafa.i karega abhi
likhe hai ghazal dil jala in dinon
udhar niind tum ko mubarak ho dost
idhar hai faqat rat-jaga in dinon
Leave a Reply