na jaane kaun sa manzar sada.en deta hai
main piili dhuup vo niili hava.en deta hai
kisi ke chehre pe gard-e-malal dekhti huun
ḳhuda kabhi na kabhi to saza.en deta hai
ḳhayal-e-yar ne ankhen hamari nam rakkhin
jamal-e-yar palaT ke jafa.en deta hai
tire mazar se vire! mahak si aati hai
tu mujh se duur bhi rah kar dua.en deta hai
ghubar-e-gham hai shab-e-hijr aur main kamli
firaq-e-yar bhi kya kya ada.en deta hai
safar ki dhuul thakan aable shikasta badan
ye sher yuun nahin hota bala.en deta hai
tu jis maqam pe baiThi hai rabiya ‘basri’
faqat ye naam hi tujh ko ziya.en deta hai
Leave a Reply