umr jitni bhi kaTi us ke bharose pe kaTi
aur ab sochta huun us ka bharosa kya tha
tum ne achchha kiya daman ko bacha kar guzre
ham to bas raah ki miTTi the hamara kya tha
is liye aa ke tire shahr men abad hue
ham ko is dasht-navardi se bhi lena kya tha
ye agar sach hai ki ham us se bichhaḌ kar ḳhush the
raat din us ki taraf dekhte rahna kya tha
shauq-e-nazara ne ankhen hi nahin khulne diin
ye kisi ko nahin ma.alum ki dekha kya tha
paanv mere bhi nahin uThte the ghar ki janib
tum bhi jaate hue lauT aa.e the aisa kya tha
jaal men us ke giraftar to hona tha hamen
us ke jaadu se nikalne ka tariqa kya tha
sub.h pahchan na paaya koi surat teri
dil-e-hangama-talab raat tamasha kya tha
sub.h suraj bhi use dekhne aaya ‘shahzad’
raat chamka tha jabin par jo sitara kya tha
Leave a Reply