kaha jo ham ne ”hamen dar se kyuun uThate ho”
kaha ki ”is liye tum yaan jo ghul machate ho”
kaha ”laḌate ho kyuun ham se ghair ko hamdam”
kaha ki ”tum bhi to ham se nigah laḌate ho”
kaha jo hal-e-dil apna to us ne hans hans kar
kaha ”ghalat hai ye baten jo tum banate ho”
kaha ”jatate ho kyuun ham se roz naz-o-ada”
kaha ki ”tum bhi to chahat hamen jatate ho”
kaha ki ”arz karen ham pe jo guzarta hai?”
kaha ”ḳhabar hai hamen kyuun zaban pe laate ho”
kaha ki ”ruThe ho kyuun ham se kya sabab is kaa”
kaha ”sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho”
kaha ki ”ham nahin aane ke yan” to us ne ‘nazir’
kaha ki ”socho to kya aap se tum aate ho”
Leave a Reply