• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Goristan-E-Shahi

Goristan-E-Shahi

allama-iqbal

asman badal ka pahne khirqa-e-derina hai

kuchh mukaddar sa jabin-e-mah ka aina hai

chandni phiki hai is nazzara-e-khamosh men

subh-e-sadiq so rahi hai raat ki aghosh men

kis qadar ashjar ki hairat-faza hai khamushi

barbat-e-qudrat ki dhimi si nava hai khamushi

batin-e-har-zarra-e-alim sarapa dard hai

aur khamoshi lab-e-hasti pe ah-e-sard hai

aah jaulan-gah-e-alam-gir yaani vo hisar

dosh par apne uthae saikdon sadiyon ka baar

zindagi se tha kabhi maamur ab sunsan hai

ye khamoshi us ke hangamon ka goristan hai

apne sukkan-e-kuhan ki khaak ka dil-dada hai

koh ke sar par misal-e-pasban istada hai

abr ke rauzan se vo bala-e-bam-e-asman

nazir-e-alam hai najm-e-sabz-fam-e-asman

khak-bazi vusat-e-duniya ka hai manzar use

dastan nakami-e-insan ki hai azbar use

hai azal se ye musafir su-e-manzil ja raha

asman se inqilabon ka tamasha dekhta

go sukun mumkin nahin aalam men akhtar ke liye

fatiha-khvani ko ye thahra hai dam bhar ke liye

rang-o-ab-e-zinagi se gul-ba-daman hai zamin

saikdon khun-gashta tahzibon ka madfan hai zamin

khvab-gah shahon ki hai ye manzil-e-hasrat-faza

dida-e-ibrat khiraj-e-ashk-e-gul-gun kar ada

hai to goristan magar ye khak-e-gardun-paya hai

aah ik bargashta qismat qaum ka sarmaya hai

maqbaron ki shaan hairat-afrin hai is qadar

jumbish-e-mizhgan se hai chashm-e-tamasha ko hazar

kaifiyat aisi hai nakami ki is tasvir men

jo utar sakti nahin aina-e-tahrir men

sote hain khamosh abadi ke hangamon se duur

muztarib rakhti thi jin ko arzu-e-na-subur

qabr ki zulmat men hai in aftabon ki chamak

jin ke darvazon pe rahta hai jabin-gustar falak

kya yahi hai in shahanshahon ki azmat ka maaal

jin ki tadbir-e-jahanbani se darta tha zaval

rob-e-faghfuri ho duniya men ki shan-e-qaisari

tal nahin sakti ghanim-e-maut ki yurish kabhi

badshahon ki bhi kisht-e-umr ka hasil hai gor

jada-e-azmat ki goya akhiri manzil hai gor

shorish-e-bazm-e-tarab kya uud ki taqrir kya

dardmandan-e-jahan ka nala-e-shab-gir kya

arsa-e-paikar men hangama-e-shamshir kya

khuun ko garmane vaala nara-e-takbir kya

ab koi avaz soton ko jaga sakti nahin

sina-e-viran men jan-e-rafta aa sakti nahin

ruh-e-musht-e-khak men zahmat-kash-e-bedad hai

kucha gard-e-nai hua jis dam nafas fariyad hai

zindagi insan ki hai manind-e-murgh-e-khush-nava

shakh par baitha koi dam chahchahaya ud gaya

aah kya aae riyaz-e-dahr men ham kya gae

zindagi ki shakh se phute khile murjha gae

maut har shaah o gada ke khvab ki tabir hai

is sitamgar ka sitam insaf ki tasvir hai

silsila hasti ka hai ik bahr-e-na-paida-kanar

aur is dariya-e-be-payan ki maujen hain mazar

ai havas khuun ro ki hai ye zindagi be-e’tibar

ye sharare ka tabassum ye khas-e-atish-savar

chand jo surat-gar-e-hasti ka ik ejaaz hai

pahne simabi qaba mahv-e-khiram-e-naz hai

charkh-e-be-anjum ki dahshatnak vusat men magar

bekasi is ki koi dekhe zara vaqt-e-sahar

ik zara sa abr ka tukda hai jo mahtab tha

akhiri aansu tapak jaane men ho jis ki fana

zindagi aqvam ki bhi hai yunhi be-e’tibar

rang-ha-e-rafta ki tasvir hai un ki bahar

is ziyan-khane men koi millat-e-gardun-vaqar

rah nahin sakti abad tak bar-e-dosh-e-rozgar

is qadar qaumon ki barbadi se hai khugar jahan

dekhta be-e’tinai se hai ye manzar jahan

ek surat par nahin rahta kisi shai ko qarar

zauq-e-jiddat se hai tarkib-e-mizaj-e-rozgar

hai nagin-e-dahr ki zinat hamesha nam-e-nau

madar-e-giti rahi abastan-e-aqvam-e-nau

hai hazaron qafilon se ashna ye rahguzar

chashm-e-koh-e-nur ne dekhe hain kitne tajvar

misr o babul mit gae baaqi nishan tak bhi nahin

daftar-e-hasti men un ki dastan tak bhi nahin

aa dabaya mehr-e-iran ko ajal ki shaam ne

azmat-e-yunan-o-ruma luut li ayyam ne

aah muslim bhi zamane se yunhi rukhsat hua

asman se abr-e-azari utha barsa gaya

hai rag-e-gul subh ke ashkon se moti ki ladi

koi suraj ki kiran shabnam men hai uljhi hui

sina-e-dariya shuaon ke liye gahvara hai

kis qadar pyara lab-e-ju mehr ka nazzara hai

mahv-e-zinat hai sanobar juebar-e-aina hai

ghuncha-e-gul ke liye bad-e-bahar-e-aina hai

naara-zan rahti hai koyal baagh ke kashane men

chashm-e-insan se nihan patton ke uzlat-khane men

aur bulbul mutrib-e-rangin nava-e-gulsitan

jis ke dam se zinda hai goya hava-e-gulsitan

ishq ke hangamon ki udti hui tasvir hai

khama-e-qudrat ki kaisi shokh ye tahrir hai

baagh men khamosh jalse gulsitan-zadon ke hain

vadi-e-kohsar men naare shaban-zadon ke hain

zindagi se ye purana khak-dan maamur hai

maut men bhi zindagani ki tadap mastur hai

pattiyan phulon ki girti hain khizan men is tarah

dast-e-tifl-e-khufta se rangin khilaune jis tarah

is nashat-abad men go aish be-andaza hai

ek gham yaani gham-e-millat hamesha taaza hai

dil hamare yad-e-ahd-e-rafta se khali nahin

apne shahon ko ye ummat bhulne vaali nahin

ashk-bari ke bahane hain ye ujde baam o dar

girya-e-paiham se biina hai hamari chashm-e-tar

dahr ko dete hain moti dida-e-giryan ke ham

akhiri badal hain ik guzre hue tufan ke ham

hain abhi sad-ha guhar is abr ki aghosh men

barq abhi baaqi hai is ke sina-e-khamosh men

vadi-e-gul khak-e-sahra ko bana sakta hai ye

khvab se ummid-e-dahqan ko jaga sakta hai ye

ho chuka go qaum ki shan-e-jalali ka zuhur

hai magar baaqi abhi shan-e-jamali ka zuhur

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kahan Hun Main Aur Kahan Nahin Hun

ajmal-ajmali

Har Ujala Nai Sahar To Nahin

Shish-Mahal Mein Do Pal Ko Mehman Hue the Hum

nida-fazli

dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho

Ilm Kis Ko Tha Ki Tarsil-E-Hawa Ruk Jaegi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet