ḳhud-faramosh-e-qafas ham hain chaman yaad nahin
ghair ke ho ga.e aise ki vatan yaad nahin
chandni husn ki achchhi hai magar naaz na kar
tujh ko is chand ka tarik gahan yaad nahin
us ki mahfil men hua tha kabhi apna bhi guzar
baten kuchh ki thiin magar mujh ko dahan yaad nahin
shikva-e-hijr ki ḳhvahish na kar ai dil ki tujhe
samna ho to koi ranj-o-mehan yaad nahin
jalva-e-hilla-e-jannat se ye ḳhud-rafta hua
main ne kin hathon se pahna tha kafan yaad nahin
kyuun sunate ho abas ahl-e-vafa ko baten
ki unhen tarz-e-mukafat-e-suḳhan yaad nahin
tafraqa-saz-garon ki ye had hai ki mujhe
mil ke baiThe the kabhi ruh-o-badan yaad nahin
ham to mar mar ke sikhaya kiye lekin ab tak
ishq ka husn-e-ḳhud-ara ko chalan yaad nahin
turra-e-gesu-e-janan tiri nik.hat ki qasam
main ne dekha tha magar mushk-e-ḳhutan yaad nahin
kya bata.un tujhe main qaid-e-mohabbat kya thi
dast-o-pa ko mire zanjir-o-rasan yaad nahin
tere nazzare men dil mahv tha aisa dam-e-ranj
tegh ka phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahin
daagh ginte hue guzre hain qafas men shab-o-roz
kis tarah khulte the gul-ha-e-chaman yaad nahin
qadr-dan pa ke bahal jaate hain avara-vatan
jab to nikle hue moti ko adn yaad nahin
zab.h hone se mire un ko ta.ajjub hai to ho
apne mathe ki vo ḳhun-rez shikan yaad nahin
kaun sunta hai ye afsana-e-gham ai ‘saqib’
qabil-e-ahl-e-zamana koi fan yaad nahin
Leave a Reply