• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Aalamon Ko Ban Bas dene Wale

Aalamon Ko Ban Bas dene Wale

abu-bakr-abbad

suraj se saae ki tavaqqoa badal se sunahri dhuup ki

kanton se mahakte phuul ki khushbu sahra se hariyali ki

kaise bhule aap hain sahab kaisi tavaqqoa rakhte hain

kichad men jab aap chalenge paanv to gande honge hi

jhuton ki sohbat men rah kar sach kaise kah paenge

mare hue insan ke lahm se kyuun raghbat rakhte hain aap

ab bhi thoda vaqt bahut hai qalb-e-mahiyat kar len

ahl-e-havas ke samne jhuk ke

baunon ki sana men be-khud hain

apne ji ka sauda kar ke logon ki malamat sahte hain

bahut hua bas band karen ab apni zamir-faroshi ko

duniya vaale sochte honge aalam kyuun aise hain ab

lekin un ko kaun batae

aap ne zar aur jism ki khatir

jahil ko tauqir hai bakhshi aalim ko ban-bas diya hai

aur aalim tujh kizb-e-sifat ko mahv-e-hairat taak raha hai

ilm jo shahr-e-ilm ke bahar ab bhi girya karta hai

apni aur teri halat par gham ke aansu rota hai

kaash ki ho taufiq zara si

thoda pasheman ho len aap

tauba ki manzil se pahle

apni surat dekhen aap

Filed Under: Nazm Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har Safar Ke Baad Waisa Hi Safar Rakkha Gaya

Kyon Mujhe Log Samajhte Come Hain

Hum Tah-E-Dariya Tilismi Bastiyan Ginte Rahe

Badan Se Jaan Nikalna Chahti Hai

Safar Kahne Ko Jari Hai Magar Azm-E-Safar Ghaeb

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet