dil se ya gulsitan se aati hai
teri ḳhushbu kahan se aati hai
kitni maghrur hai nasim-e-sahar
shayad us astan se aati hai
ḳhud vahi mir-e-karvan to nahin
bu-e-ḳhush karvan se aati hai
un ke qasid ka muntazir huun main
ai ajal! tu kahan se aati hai
shikva kaisa ki har bala ai dost!
janta huun jahan se aati hai
ho chukin azma.ishen itni
sharm ab imtihan se aati hai
ain divangi men yaad aya!
aql ishq-e-butan se aati hai
teri avaz gaah gaah ai dost!
parda-e-saz-e-jan se aati hai
dil se mat sarsari guzar ki ‘ra.is’
ye zamin asman se aati hai
Leave a Reply