mukhtalif hain miri bahar ke rang
kuchh mire apne kuchh udhar ke rang
aaj yaksar bahar le aai
mere dil ki gali men pyaar ke rang
teri ankhon se milte-julte hain
meri ankhon ke abshar ke rang
dil ki chaukhat sajae baithe hain
aaj bhi tere intizar ke rang
raat mil kar gale bahut roe
teri yadon se mere pyaar ke rang
vaqt ki dhuup ka qusur nahin
the hi kachche vo e’tibar ke rang
thak gae par mahak na la paae
kaghzi phuul par bahar ke rang
dhuup rukh par padi havas ki ‘sahar’
ud gae ishq ke khumar ke rang
Leave a Reply