haTi zulf un ke chehre se magar ahista ahista
ayaan suraj hua vaqt-e-sahar ahista ahista
chaTak kar di sada ghunche ne shaḳh-e-gul ki jumbish par
ye gulshan hai zara bad-e-sahar ahista ahista
qafas men dekh kar baazu asiir aapas men kahte hain
bahar-e-gul tak aa ja.enge par ahista ahista
koi chhup ja.ega bimar-e-sham-e-hijr ka marna
pahunch ja.egi un tak bhi ḳhabar ahista ahista
gham-e-tabdili-e-gulshan kahan tak phir ye gulshan hai
qafas bhi ho to ban jaata hai ghar ahista ahista
hamare baghban ne kah diya gulchin ke shikve par
na.e ashjar bhi denge samar ahista ahista
ilahi kaun sa vaqt aa gaya bimar-e-furqat par
ki uTh kar chal diye sab chara-gar ahista ahista
na jaane kyuun na aaya varna ab tak kab ka aa jaata
agar chalta vahan se nama-bar ahista ahista
ḳhafa bhi hain irada bhi hai shayad baat karne ka
vo chal nikle hain mujh ko dekh kar ahista ahista
javani aa ga.i dil chhedne ki baḌh ga.iin mashqen
chalana aa gaya tir-e-nazar ahista ahista
jise ab dekh kar ik jaan paḌti hai mohabbat men
yahi ban ja.egi qatil nazar ahista ahista
abhi tak yaad hai kal ki shab-e-gham aur tanha.i
phir is par chand ka Dhalna ‘qamar’ ahista ahista
Leave a Reply