yam-ba-yam phaila hua hai pyaas ka sahra yahan
ik sarab-e-tishnagi hai mauja-e-sahba yahan
raushni ke zaviyon par munhasir hai zindagi
aap ke bas men nahin hai aap ka saaya yahan
aate aate aankh tak dil ka lahu paani hua
kis qadar arzan hai apne ḳhuun ka sauda yahan
tere mere darmiyan haa.il rahi divar-e-harf
rakh liya ik baat ne har baat ka parda yahan
dekhiye to ye jahan hai ik jahan-e-ab-o-gil
sochiye to zarre zarre men hai ik duniya yahan
Leave a Reply