• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai But Jafa Se Apni Liya Kar Wafa Ka Kaam

Ai But Jafa Se Apni Liya Kar Wafa Ka Kaam

shad-azimabadi

ai but jafa se apni liya kar vafa ka kaam

bandon ke kaam aa ki yahi hai khuda ka kaam

kis ja tha qasd shauq ne pahuncha diya kidhar

kahte na the thagon se na le rahnuma ka kaam

kahta hai dil suna mujhe gesu ki dastan

aaj us ne sar pe daal diya hai bala ka kaam

tasir ko na aah se puchhun to kya karun

kyuun khud utha liya dil-e-be-muddaa ka kaam

apni si tu to kar unhen phir ikhtiyar hai

sunna hai un ka kaam pahunchna dua ka kaam

siine men daagh khilte hi jaate hain har nafas

ab apni saans karti hai bad-e-saba ka kaam

muusa faqat na the tire aina-daron men

iisa bhi karte the lab-e-mojiz-numa ka kaam

har raat apni ankhon ko rona hai farz-e-ain

taat-guzar karte hain jaise khuda ka kaam

tha bhi zalil husn ki sarkar men ye dil

kam-bakht ko supurd hua iltija ka kaam

ai ‘shad’ meri sakht-zabani pe hai khamosh

naseh bhi ab to karne laga ambiya ka kaam

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

agha-hashr-kashmiri

Chori Kahin Khule Na Nasim-e-Bahaar Ki

Kuchh Hashr Se Kam Garmi-E-Bazar Nahin Hai

abbas-rizvi

Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya

Udas Hain Sab Pata Nahin Ghar Mein Kya Hua Hai

Guzar Raha Hai Wo Lamha to Yaad Aaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet