khuun ka qatra nahin hai chashm-e-giryan ab talak
uzv saare jal gae par dil hai bariyan ab talak
so zaban ho misl-e-shana maazarat ki mu-ba-mu
saf-dil hoti nahin vo zulf-e-pechan ab talak
kahiyo ai qasid payam us ko ki tere hijr se
jan-ba-lab pahuncha nahin aata hai tu yaan ab talak
sun ke na-khush ho kaha nisbat thi mujh se ishaq ki
so ye ab maalum hui tis par hai nazan ab talak
‘ishq’ ka daava kiya aur hijr men jiita raha
phiir to shaki hai ham se kahiyo nadan ab talak
Leave a Reply