
Nazm Tabatabai
hansi men vo baat main ne kah di ki rah ga.e aap dang ho kar
chhupa hua tha jo raaz dil men khula vo chehre ka rang ho kar
hamesha kuuch o maqam apna raha hai ḳhizr-e-rah-e-tariqat
ruka to main sang-e-mil ban kar chala to avaz-e-chang ho kar
na toḌte aarsi agar tum to itne yusuf nazar na aate
ye qafila khinch laa.i saara shikast-e-a.ina zang ho kar
shabab o piiri ka aana jaana ghazab ka pur-dard hai fasana
ye rah ga.i ban ke gard-e-hasrat vo uḌ gaya ruḳh se rang ho kar
jo raaz dil se zaban tak aaya to us ko qaabu men phir na paaya
zaban se nikla kalam ban kar kaman se chhuTa ḳhadang ho kar
ghazab hai bahr-e-fana ka dhara ki mujh ko uljha ke maara maara
nafas ne maujon ka jaal bun kar lahad ne kam-e-nahang ho kar
mila dil-e-na-hifaz mujh ko to kya kisi ka lihaz mujh ko
kahin gareban na phaaḌ Dalen janab-e-naseh bhi tang ho kar
jo ab ki mina-e-mai ko toḌa chalegi talvar mohtasib se
lahu bhi rindon ka dekh lena baha mai-e-lala-rang ho kar
na zabt se shikva lab tak aaya na sabr ne aah khinchne di
raha dahan men vo qufl ban kar giraya chhati pe sang ho kar
samajh le suufi agar ye nukta hai ek bazm-e-sama-e-hasti
to nau-piyale ye asman ke bajen abhi jal-tarang ho kar
bhala ho afsurda-ḳhatiri ka ki hasraton ko daba ke rakkha
bacha liya harzagi se us ne lihaz-e-namus-o-nang ho kar
jigar-ḳharashi se paa.i fursat na sina-kavi se naḳhunon ne
gala gareban ne ghunT Daala junun ki shorish se tang ho kar
badal ke duniya ne bhes sad.ha ise Daraya use lubhaya
kabhi zan-e-pir-zal ban kar kabhi but-e-shoḳh-o-shang ho kar
uThe the talvar khinch kar tum to phir ta.ammul na chahiye tha
ki rah ga.i mere dil ki hasrat shahid-e-tegh-e-darang ho kar
jo valvale the vo dab ga.e sab hujum-e-lait-o-la.al men ‘haidar’
jo hausle the vo dil hi dil men rahe daregh-o-darang ho kar

Leave a Reply