mere khaton ko jalane se kuchh nahin hoga
hava men raakh udane se kuchh nahin hoga
samajhne vaale to dil ki zaban samajhte hain
mohabbaton ko jatane se kuchh nahin hoga
sitam-zarifi rahi vaqt ki jo dil tuuta
kisi pe dosh lagane se kuchh nahin hoga
nai udaan ki khatir paron ko tol zara
qafas men shor machane se kuchh nahin hoga
koi to tiir nishane pe thiik se pahunche
hava men tiir chalane se kuchh nahin hoga
nae gulon ko khilao dil-e-zamin pe tum
dil ye kabab banane se kuchh nahin hoga
nai umiid nae raste talash karo
hamesha marsiya gaane se kuchh nahin hoga
badan se ruuh nikal bhi chuki hai ab hamdam
fuzul ashk bahane se kuchh nahin hoga
zaban se baat kai sach nikal gai ho gar
bahane laakh banane se kuchh nahin hoga
tumhare jaane se patthar men dhal chuki ‘sima’
tumhare laut ke aane se kuchh nahin hoga
Leave a Reply