muqabil apne haqiqat ka a.ina rakhna
andheri raat men darvaza mat khula rakhna
ye soz-o-karb mujhe tajrabon ne baḳhsha hai
jalana sham.a to daman se fasla rakhna
ḳhud apne vaste behtar jise samajhte ho
vahi suluk mire vaste rava rakhna
na toḌi is liye main ne sukut ki zanjir
abhi hai un se taḳhatub ka silsila rakhna
naqab kohre ki Daale hue hai har khaa.i
durust apni nigahon ka zaviya rakhna
fasil-e-shahr-e-ana tak pahunchne vaala huun
isi tarah ye taghaful ka silsila rakhna
main kar raha huun mukammal hayat ka paikar
jafa ka koi bhi pahlu na tum uTha rakhna
Leave a Reply