Mujhko Sham-E-Hijr Ki Ye Jalwa-Arai Bahut

mujh ko shām-e-hijr kī ye jalva-ārā.ī bahut

mahkī mahkī yaad terī aur tanhā.ī bahut

umr bhar Dartā rahā kam-zarfī-e-ehsās se

un ke pahlū meñ bhī merī ruuh ghabrā.ī bahut

Duub kar un jhiil sī āñkhoñ meñ jab ġhazleñ kahīñ

mere in sheroñ meñ tab aa.ī hai gahrā.ī bahut

ham hī kyuuñ terī mohabbat meñ tamāshā ban ga.e

is hayāt-e-rañg-o-bū meñ the tamāshā.ī bahut

rafta rafta us galī meñ be-jhijak jaane lagā

pahle pahle to mujhe thā ḳhauf-e-rusvā.ī bahut

vo khanakte gungunāte jhūmte gaate badan

ahd-e-pīrī meñ javānī ham ko yaad aa.ī bahut

dahkī dahkī aag sī āñchal meñ thī shāyad ‘shahāb’

paas se vo shoḳh jab guzrā to aañch aa.ī bahut

Leave a Comment