un ki bhi shararat to dekho ham ko hi kahoge doshi kya
bardasht se bahar ho jaa.e to oḌhe koi ḳhamoshi kya
jo apni zaat men ḳhud-sar hain kya un ka zamir jhinjhoḌe koi
zahir par kaan na den jo unhen batin ki bhala sargoshi kya
duniya ki bana.i rasm hai ye jo ham ko nibhani hai varna
nazan jis par ḳhud gulshan ho us gul-ruḳh ki gul-poshi kya
israr na kar ai saaqi tu ye saghar-o-mina duur haTa
jis dil pe ghamon ka qabza ho us par chha.e mad.hoshi kya
kyon chhoTi chhoTi baton par hairan-o-pareshan hote ho
bedar agar hai ruuh to phir zehn-o-dil ki be-hoshi kya
jis din tu kahega main us din sahra ki janib chal dunga
jo jaan luTata ho tujh par use ḳhauf-e-ḳhana-badoshi kya
Leave a Reply