tire jalvon ka vo aalam nahin hai
shu.ur-e-did varna kam nahin hai
nizam-e-zindagi hai muntashir sa
mizaj-e-yar to barham nahin hai
kabhi lazzat-kash-e-rahat na honge
mayassar jin ko tera gham nahin hai
diya hai gham zamane bhar ka mujh ko
inayat ye bhi teri kam nahin hai
hamen ummid ho kyon kar karam ki
sitam bhi jab tira paiham nahin hai
navazish ho ga.i jis par junun ki
use duniya men koi gham nahin hai
mayassar hai tiri ankhon ki masti
mujhe sauda-e-jam-e-jam nahin hai
saliqa ho agar jiine ka ‘sabir’
hayat-e-chand-roza kam nahin hai
Leave a Reply