• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Na Pai Dil Ne Taskin Aur Kuchh Pai to Kya

Kuchh Na Pai Dil Ne Taskin Aur Kuchh Pai to Kya

kuchh na paa.i dil ne taskin aur kuchh paa.i to kya

aisi surat se tiri surat nazar aa.i to kya

ek dushman ke kahe par naaz vo bhi is qadar

apne matlab ko kisi ne aap ki gaa.i to kya

hosh aana tha ki vo ḳhase sitamgar ban ga.e

haa.e ri qismat ki un ko aql bhi aa.i to kya

o jafa-pesha shagufta ḳhatiri hai aur shai

yuun hansi aane ko rone men hansi aa.i to kya

aap apne dil se puchhen aap hi sochen zara

meri aahon men agar tasir bhi aa.i to kya

mere lashe par agar tashrif bhi laa.e to hech

ba.ad mere un ko meri yaad bhi aa.i to kya

apni aadat se vo baaz aa jaa.en mumkin hi nahin

kahne-sunne se ghaḌi-bhar ko haya aa.i to kya

kuchh na kuchh aghyar ne paTTi paḌha.i hai zarur

tum ne khane ko mire sar ki qasam khaa.i to kya

tha jo kuchh taqdir ka hona vo ho kar hi raha

karne valon ne jo ki bhi chara-farma.i to kya

be-vafaon men to kuchh ginti nahin teri tarah

ham ko kahti hai agar maḳhluq sauda.i to kya

ai safi’ tark-e-ta.alluq kar ke itrate ho kyuun

umr-bhar men ye hui hai tum se dana.i to kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-shanas

Tasawwur Ko Jaga Rakkha Hai Usne

Rakhna Hai to Phulon Ko Tu Rakh Le Nigahon Mein

parveen-shakir

duty

abdul-hamid-adam

Main Raste Ka Bojh Hun Mera Na Kar Khayal

Dil Mein Jo Aae Achchha Bura Kah Liya Karo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet