• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Munh Tera Kyun Aaj Zor-E-Na-Tawani Phir Gaya

Munh Tera Kyun Aaj Zor-E-Na-Tawani Phir Gaya

munh tira kyuun aaj zor-e-na-tavani phir gaya

us ke aate hi mire chehre pe paani phir gaya

bhuul kar ashiq tumhara ja raha tha tuur par

duur se sun kar sada-e-lan-tarani phir gaya

zillat-o-rusva.i ki had bhi hai koi Duub mar

ai dil-e-nakam ab to sar pe paani phir gaya

us ke aage tu ne phailaya agar dast-e-saval

yaad rakh ai dil suluk-e-mehrbani phir gaya

dil miTaya teri ḳhatir jaan ki parva na ki

kis liye tu ham se ai ahd-e-javani phir gaya

be-sutun ko kaaT kar laaya tha zalim ju-e-shir

kohkan ki hasraton par phir bhi paani phir gaya

pattiyan pazhmurda phulon ki chaman men dekh kar

samne ankhon ke daur-e-aish-e-fani phir gaya

kal khili thi jo kali hai aaj murjha.i hui

meri nazron men ma.al-e-zindagani phir gaya

bul-havas ka munh ho kaala kaan men kya kah diya

aap ke chehre pe rang-e-arghavani phir gaya

barq ban kar aaj vo mahfil men aa.e is tarah

meri ankhon men mira ahd-e-javani phir gaya

bhar ke saaqi ne diya jam-e-sharab-e-arghavan

‘shad’ ke chehre pe rang-e-shadmani phir gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aa Ke Ek Bar Mere Yar Zara Dekh to Le

poet

Abhi Tamam Aainon Mein Zarra Zarra Aab Hai

poet

Qasid-E-Khush-Fal Laya Uske Aane Ki Khabar

poet

Iqrar Hi Ke Sath Ye Inkar Abhi Se

Dil Par Nahin Hum Chhae Hain Zehnon Ke Jahan Tak

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet