sainkaḌon saa.e magar ik ashna chehra na tha
jagmagate shahr men mujh sa koi tanha na tha
jis ne jhanka raat mujh ko aa.ine ki oT se
jaana pahchana laga pahle kabhi dekha na tha
mujh se pahle bhi bahut se ahl-e-dil rusva hue
shahr men lekin kabhi itna tira shohra na tha
har kali ki aankh men bhige dhundalke chha ga.e
vaqt ki ankhon men kajal shaam ka phaila na tha
habs bhi tha ek vahshat-nak sannaTe ke saath
dam-ba-ḳhud har shaḳh thi patta koi hilta na tha
kaun si dimak badan se ruuh tak chaT kar ga.i
ab huun jitna khokhla pahle kabhi itna na tha
jis ne rusva kar diya ‘akram’ bhare bazar men
sochta huun us se kya mera koi rishta na tha
Leave a Reply