palken niind se bojhal hain ya ab manzar ki taab nahin
kyon in jalti ankhon men ab rang-birange ḳhvab nahin
ik muddat se kis natiq ki nok-e-zaban par aTka huun
main ik lafz huun goya vo bhi ma.ani se sairab nahin
ankhen hain ya ḳhar-e-mughilan chehra hai ya sahra hai
lafz bahut nayab hain pyare dard magar nayab nahin
meri bala se jhukne valon men ma.abud bhi shamil hon
lekin mere sajdon men but-ḳhane ke adab nahin
fitrat ka paighambar kya jaane samjhaute ki baten
dariya muḌ sakte hain lekin dariya ke sailab nahin
ankhen aur chunengi kab tak aḳhir manzar ki kirchen
mujh men to ab jaise apni nazron ki bhi taab nahin
Leave a Reply