thoḌa sa zindagi ka ḳhasara zarur hai
par gham ne dil ka rang nikhara zarur hai
mahtab phir raha hai ḳhalaon men is tarah
jaise ki asman ka kinara zarur hai
aalam men dekhiye to koi bhi ḳhuda nahin
aalam ḳhuda ki samt ishara zarur hai
ham ko yaqin hai aap ko dil ki kitab men
ik an-likhe sa naam hamara zarur hai
kya janiye vo shoḳh samundar hai ya sarab
jo bhi ho tishnagi ka sahara zarur hai
vaise miri zaban pe koi aur lafz tha
par dost kah ke tujh ko pukara zarur hai
kuchh sher kah ke ham ko guman ye hua ‘mayank’
ik asman zamin pe utara zarur hai
Leave a Reply